Ab ant hua is bhram ka bhi, is gaman chakra ke chinhon se,
kyun prati-chawi bhi tut gai, na jane kis prati-chumban se,
ek anhad hai antarman me, ab nahi raha bichlit man bhi,
anukampa mere upar, ek hui mere hi aadi samarpan ki,
ab rudan matra vishram me hai, antarman ki abhilasha me,
na jane kaisa gahan laga, mere man ki paribhasa me,
main shant samrpit pushpo ke, birah saman ka sakshya hua,
main chinhit pari-badhaon ke,shakshamya ka prashad hua,
main nirmal jal ki agni me, kyun jalkar bhasm prakand hua,
hriday prashan, isko mat samjo , ye to paribartit paribhasa hai,
mere hi bhram ki prati-chaya, mere chinhon ki maya hai.
Yadi prasna uthe antarman me , to naynon ko samjha lena,
Ye kumud bramar ki diksha hai, chetak bhram ki ek iksha hai ,
bahut khub ...bhut acha..bahut khub ...bhut acha..
ReplyDelete