jab tum nahi to roshni kyun mangta hun main,
jab tum nahi to raakh ko kyun chhanana chahta hun main,
kyun raat se fariyaad karta hun main rukne ko,
jab tum nahi to raat ko kyun mangata hun main,
kyun charagon ki shama me jal raha hun main,
jab tum nahi to aag ko kyun manata hun main,
har jam ko maloom hai ke jab phir utarna hai,
jab tum nahi to pyaas ko, kyun taanata hun main,
aalam hai ke jab yun machalna raas aata hai,
jab tum nahi to kyun tadapana chahta hun main,
rahen nahi jab ghar nahi hota parindon ka,
to ghoslon ko kyun hi,bunana chahta hun main,
rota nahi aansu bhi ab to muskurane pe,
to muskurahat ko kyun rulana chahta hun main,
hai pata mujko bhi, jab ke tum nahi ab ho,
to aashiyan tumse hi kyun, basana chahata hun main,
jab tum nahi to roshni kyun mangta hun main,
jab tum nahi to raakh ko kyun chhanana chahta hun main..
nice sir lage rahiye aap meri duaaen aapke saath hai .....
ReplyDeletenice start man... you are content and now this is time to show this to THE WORLD...
ReplyDelete